Saudi arabia me hajj karne ke liye kai kanoon banaye gaye hai. isliye is kanoon ke wajah se sirf wahi log hajj kar sakte hai jo iske kabil (Eligible) hoga. agar aap is saal yani 2018 me hajj karna chahate hai. to aapko iske bare me ek baar jarur karna chahiye. jise aap malum ho jayega ki aap hajj karne ke liye eligible hai.
Aaj mai aapko is article me yahi batane wala ho. lekin usse pahle aapko hajj se releted kuch kanoon ke bare bata raha ho jo aapko pata hona chahiye.
Hajj ke liye Eligible hone rules
1 - Agar aap saudi citizen ya expat hai. to aap 5 saal tak hajj nahi kar sakte hai.
2 - Agar aapne ek baar hajj kar liya hai. aur next year me aapki shaadi ho gayi hai to aap apni wife ke saath 5 saal ke ander hi hajj kar sakte hai.
3 - legal tarike se hajj karne ke liye behtar hai ki aap pahle hi online booking kar le. taaki aapko hajj karne me aasani ho.
Hajj Eligibility kaise check kare.
Hajj ke eligibility check karna bhuat hi aasan hai. aap bas niche diye huye steps ko follow karke hajj eligibility check kar sakte hai
Step 1
Moi ke official website par jane ke liye yaha click kare.
Step 2
1 - Yaha aapko iqama number likhana hai
2 - Upar diye huye 4 digit ke numbers ko niche diye huye khali box me likhana hai.
3 - View par click karna hai.
Step 3
View par click karte hi result aa jayega. agar aap hajj ke liye eligible hai to yaha (eligible to do hajj this year) likha hoga. yani aap is saal me hajj kar sakte hai.
Note - Dhayan rahe ye method sirf muqeem card (iqama) rakhane walo ke liye hai. chahe wo Saudi Nationals ho ya expatriate (प्रवासी) ho.
i hope aap is article ko padh kar hajj eligibity check karne jan gaye honge.
how to Check hajj Eligibility for Performing Hajj
Reviewed by A. RAHAMAN
on
June 06, 2018
Rating:
No comments: