Islam me hajj karna farz hai. Ye baat sabhi log janate hai. isi liye hajj karne ke liye duniya bhar se muslim saudi arabia ke makkah me aate hai. Aur apna hajj pura karke apne – apne desh chale jate hai. Ye to baat ho gayi dusre desho me rahne wale muslims ki lekin hum baat karne wale hai saudi me kaam karne wale logo ki jo itne pass (near) ho ke bhi hajj kar sakte hai.
Saudi arabia me kaam karne wale log bhi hajj kar sakte hai. Bas aapko itna karna hai ki aap ko saudi government se hajj karne ka permit lena hota hai. Ye perrmit aap online aur offline dono tariko se pa sakte hai. Lekin mai aapko suggest karte ho ki bina permit ke hajj kabhi nahi karna chahiye. Kyuki abhi ke time me saudi goverment bhuat hi strict ho gayi hai. Jiske wajah se aapko bhuat si muskilo ka samna karna padh sakta hai.
Kya hoga agar aap bina hajj permit ke illegal tarike se hajj karte hai.
Bina permit ke hajj karte time aap saudi arabia ke police ke haatho pakade jayege. Kyu saudi police har jagah par fingerprint scener liye rahte hai. Jaise wo aapke finger ko scen karege. Waise un ko malum ho jayega ki ye aadmi bina hajj permit liye huye hajj kar raha hai. Dhayan rahe aapka fingerprint saudi government ke pass hota hai. Kyu jab iqama banta hai to aapka fingerprint liya jata hai. Aur jab aapka fingerprint mach ho jata hai to pakade jate hai. Pakadne ka ye matlab nahi hai ki wo aapko jail me dal denge. yesa nahi hai. Police wale kahege ki tum ab yaha se adhura hajj ko chhod kar apne work area me jao. Aur uske baad jab vacation me jayege. Ya aapka iqama expire hoga to aapka iqama renewal nahi hoga. aur iqama renewal hoga to aap vacation apne ghar nahi ja sakte hai. Tab kya hoga. tab hoga ye ki aapko sirf aur sirf exit (khrooj nihai) hi ja padega. jisse aapko bhuat se nuksaan hoga. ye baat aap kud bhi jante hai. Isiliye bina hajj permit ke hajj na kare.
1 - Aapke Accumulative accounts ki sari services band ho jayegi.
2 - Saudi arabia me dubara 10 saalo tak nahi aa sakte hai. Matlab aapke passport par 10 years ka ban lag jayega.
3 - Aapka iqama renewal nahi ho payega.
4 - Aapka acha sa job aapke haatho se chala jayega.
5 - Aapko finencial problam ka samna karna padega.
Note - Aap ke shayad ye malum na ki hajaro expats ko bina permit ke hajj karne ke jurm me unke desh bhej diya gaya hai. Isliye aap bina permit ke hajj na kare. Kyu har saal haji badhate ja rahe hai. Aur aap bina permit ke hajj karke un muslims ke julam na kare. Kyu ki hajj karna har muslim adhikar hai.
Kya hoga agar aap bina hajj permit ke illegal tarike se hajj karte hai.
Reviewed by A. RAHAMAN
on
May 30, 2018
Rating:
No comments: