Seo Services

Apne company ya kafeel / sponsor ka nataqat color category Online kaise check kare.

Saudi Arabia  me job karne wale apne company ya kafeel (sponsor) ka nataqat color  category Online kaise  check  kare.     

Nitaqat system public aur private sectors me rozgaar badhane ke liye suru kiya gaya hai. aapki company me kaam karne wale saudi nationals ki hisab se color milta hai. Waise to har companies alag -  alag colours rating  ki me hoti hai. Jaise - green, yellow, red, pletinum etc. Agar aapka company  green colour me hai to bhuat acha hai. Agar red hai to aapki company  black list me hai. Company black hone se aapko ek fhayeda ho sakta hai. Aap apna sponsor aasani se or free me change kar sakte hai.To chaliye hum aapko company ka colour online check karne ke bare  me step by step batate  hai.



kafeel (sponsor) ka color kaise check kare.

step 1 
sabse pahle aapko saudi ministry of labor ke website par jana hai. website par jane ke liye yaha click kare.

step 2
Is step mai sirf 3 options ka use karna hai. baaki sabhi ko bharne ki jarurat nahi. 

1 - yaha aapko apna iqama number bharna hai. dhayan rahe aapka iqama valid hona chahiye.

2 - upar diye huye sabhi numbers ko verification code ke jagah par likhana hai. 

3 - sabhi jankari ache se bharne ke baad search par click kare.






Step 3 
search par click karne ke baad aapke company ya kafeel ka color show ho jayega. agar aapke company ya kafeel ka color red hai to aap dusre company me transfer le sakte hai.




I hope aapko ye post achha laga hoga. agar aapko apne sponsor ka color check karne me koi presani ho rahi hai to comment karke jarur bataye. aur is post ko share karna mat bhule. 



Ise bhi Padhe:
Apne company ya kafeel / sponsor ka nataqat color category Online kaise check kare. Apne company ya kafeel / sponsor ka nataqat color  category Online kaise check  kare.     Reviewed by A. RAHAMAN on July 05, 2018 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.