Seo Services

Google search history permanently delete kaise kare.

Internet ka sabse bada search engine google hai. isliye iska use puri duniya ne sabse jada hota hai. aaj ke time me hum koi bhi jankari pane ke liye google ka sahara lete hai. i mean hume jis kisi bare me janna hai, hum use google par search karte hai. aur google hamare search kiye huye contants ka bhuat sa options search result me de deta hai. ab un search results ab hisab se read karke apne jarurat ko pura kar lete hai. lekin kya aapko malum hai ki google humare search kiye huye contant ko search history me save karke rakhate hai. phir google usi seach kiye contant se releted ads humko dikhata hai. waise isse aapko koi nusaan nahi hone wala hai. phir bhi aap apne privasy badane ke liye google history ko delete karna aapke liye jada behtar hai.


Apna google search history kaise delete kare.

Aap apna search history delete karna bhuat hi aasani hai. niche diye huye steps ko follow karke aap sirf 5 minutes me apna search history delete kar sakte hai

Step 1
Google search history delete karne ke liye sabse pahle aapko www.google.in par jana hai.


Step 2
google me jane ke baad aapko niche right side me privacy, terms aur setting ka optoin milega. yaha aapko setting par click karna hai. setting par click karne par ek popup window open ho jayega. isme aapko history par click karna hai.


Step 2
history par click karne ke baad ek dusra page open hoga. agar aapne apne gmail account se login nahi kiya hai. to sin in kar le. kyu ki bina sin in ke aap google search history nahi dekh payege.



Step 3
google me sin in karne par google my activity open ho jayega. yaha aapko delete activity by par click karna hai.


Step 4
Delete activity by par click karne par ek form khul jayaga. yaha aap apne hisab se select karke search history delete kar sakte hai. lekin mai yaha par aapko pura search history delete karne ke bare me bata raha ho.


1 - delete by date me All time select kare.
2 - All products ko select kare.
3 - Delete ke button par click kare.

Step 5
Delete ke button par click karne par popup window open hoga. yaha aapko phir se DELETE ke button par click karna hai.


Step 6
delete ke button par click karne ke baad aapka sabhi search history permanently delete ho jayega. aap ise check karne ke liye apne page ko back kare. back karne par aapko waha par no activity likha huya milega. yani aapka sabhi search history delate ho gaya hai.



Agar aap baar- bar search history ko delete nahi karna chahte hai. to private browsing ka istemaal kare. agar aapko private browsing ke bare nahi malum hai to aap humara ye post Browser me private browsing kaise karte hai.  ko jarur padhe.




I hope is post ki maddat se aap Google search history permanently delete karna sikh gaye honge. hamare blog ka new post apne inbox me pane ke liye is blog ko subscribe jarur kare, agar aapko kuch puchana hai to comment karke puch sakte hai.



Google search history permanently delete kaise kare. Google search history permanently delete kaise kare. Reviewed by A. RAHAMAN on May 29, 2018 Rating: 5

1 comment:

  1. https://hindimeguru.com/google-se-history-kaise-delete-kare/
    Nice Article all Doubts are clear. Thank You so Much

    ReplyDelete

Powered by Blogger.