Seo Services

How to check turkey visa status online, check e-visa


Maine is blog me saudi, UAE, Qatar, Oman, Bahrain Kuwait etc gulf
country ke visa ka status check karne ke bare me details me bataya
hai. lekin mai aaj aapko turkey ke visa ka status check karne ke
bare me batane wala ho.
Ek din mera dost mera dost mere pass aaya aur mujh se bola ki mere
ek ristedaar turkey ja rahe hai. aur unka visa bhi aa gaya hai. aur
bola ki ab tum is visa ko check karke batao ke ye visa real hai ya fake
hai. maine woh visa check kiya aur uska status apne dost ko bata
diya. jo ki visa original tha. isliye maine yeh jankari aap logo ke saath
share karna chahat ho. taaki aap log bhi apni aur apno ki help kar sake.
to chahiye aapko turkey ka visa status check karne ke bare batate hai.



Turkey ka visa status online kaise check kare.

Turkey ka visa online check karna bhuat hi aasan hai. aap turkey ke
visa ko bas kuch minutes me check kar sakte hai. iske liye aapke paas
turkey ka visa copy hona jaruri hai. turkey ka visa check karne ke liye
niche diye huye steps ko follow kare.

Step 1
Turkey ka visa check kerne ke liye sabse pahle aapko turkey ke official
website (evisa) par jana hai. jiska link maine niche diya huya hai.



Step 2
Upar diye huye link par click karne par aap evisa ke website pa
pahuch jayege. yaha aapko apne visa ka details bharna hai.



1 - yaha aapko apne visa ka Reference No likhana jo ki aapke visa
copy me sabse upar me likha hota hai. agar aapko samjh me nahi
aaya to mai kuch example de deta ho.
jaise - AC2-B2E4, AH1-F1RR, ADE-2MQQ etc.
2 - maine in dono box me kuch bhi nahi likha tha. yani khali chhod
diya tha. agar aap likhana chahate hai to aap apna Passport Number
or E-mail address likha sakte hai.
3 - ye ek Security Verification jo ki internet par aam ho gaya hai. niche
diye huye colourful numbers ko uper khali box me likh dena hai.
4 - Continue par click karna hai.



Step 3
Continue par click karne ke baad ek naya page open hoga. agar aapka
visa original hoga to yaha likha hoga. Your application has been
successfully completed. phir aap apna naam aur application no ko
right side dekh sakte hai.




yaha se aap 2 kaam aur kar sakte hai hai. upar diye huye ko dhayan se

dekhe yaha aapko Download your e-visa aur Payment receipt ka
option dikh raha hoga.
Download your e-visa - is option ki maddat se aap apne e-visa ka
copy download kar sakte hai.
Payment receipt - yaha se aapne visa payment ke recript nikal
sakte ho.



I hope aap is article ki maddat se turkey ka visa status check karna
sikh gaye honge. agar aapko post se kuch sikhane ko mila hai to
please ise dusro ke saath bhi share kare.

How to check turkey visa status online, check e-visa How to check turkey visa status online, check e-visa Reviewed by A. RAHAMAN on May 29, 2018 Rating: 5

3 comments:

  1. This is very educational content and written well for a change. It's nice to see that some people still understand how to write a quality post! виза за Канада

    ReplyDelete
  2. Evisa Turkey is an online platform that offers hassle-free e-visa services for individuals planning to travel to Turkey. For an efficient process Read more

    ReplyDelete

Powered by Blogger.